Gali K Aakhir Main NanakShahi Eenton Se Bane Is Makaan Ne Kai Mosmon Ko Apne Upar Jhela Hai. Gaon Ko Kasba, Kasbe Ko Shehar Aur Shehar Ko Metro City Bante Dekha Hai. Ismey Rehney Walo Ki Kismat Aur Haisiyat Na Tab Badli Aur Na Ab. Bhola Isi Ghar Main Pala Badha. Char Bhaeeyon Mai Wo Akela Aisa Tha Jis K Sr Se Paida Hote Hi Maa Ka Aanchal Uth Gya Tha. Baap Sharabi Kababi Tha. Rishtedaro Ki Mali Halt Khsta Thi, Isliye Sb Dheeray Dheeray Khisak Liye. Jaise Kaise Charon Ka Paln Poshan Padosiyon Ne Hi Kiya. Waqt K Saath Saath Baap Ka Dimagi Tawazun Gadbadata Gya. Padosiyon Ki Meharbani Se Bachhe Parvrish Pate Gyae. Teeno Bhaiyon Ne Jawani Aate Aate Aise Kaee Karnamey Kr Dikhaye K Gar Main Subho-Sham Police Dastak Dene Lagi. Jab Mohale Main Muh Dikhana Dubhar Ho Gya To Bhola Ko Chod Sb Ek Ek Kr K Bhag Gyae. Bhola Waqaee Bada Bhola Tha. Uska Ye Bholapn Sb Mohale Walo Ko Acha Lagta Tha. Apne Baap Ki Dekhbhal Main Bhola Koi Kasar Nahi Rehne Deta Tha. Uski Nek Dili Ko Dekh Mango Halwai Ne Uska Byah Apne Gao Ki Ek Ladki Kamo Se Kr Diya Jisko Dikhaee Km Deta Tha. Bhola Aur Kamo Ki Jodi Khob Jami. Kamo Ki Aamd Se Ghar Ki Mudat Se Khoee Ronak Kuch Kuch Laut Aaee, Lekin Mohala Ab Dherey Dhere Khali Ho Chala Tha. Ziadatar Log Un Nayee Bani Bastiyon Main Ja Chuke The Jahan Paki, Khuli Aur Saaf Sadkaen Thi, Peeney Ka Saaf Pani Tha, Underground Sewraej Tha, Coloney Ka Apna Chokidar Tha, Apna Gate Tha, Vagera Vagera Sb Kuch Tha. Mohaley K Lagbhg Sare Hi Ghar Ab Godaam Bn Kr Reh Gye The. Lekin Bhola Aur Uski Kamo Ki Khoob Chal Nikli Thi. Ab Toh Bhola Ko Paas Ki Printing Press Main Kaam Bhi Mil Gya Tha. Din Ache Se Kt Rahe The K Achank Ek Roz Baap Ki Haalat Bigadee Aur Wo Chal Basa. Bhola Bahut Roya. Jb Shamshaan Main Chargee (Karm Kaadn Karwane Wala Pandit) Ne Aaag Dene K Liye Bade Bete Ko Aane Ko Kaha To Bhola Ko Apne Sab Bhaeeyon Ki Badi Yaad Aayee. Baap K Marne Se Ziada Use Ab Bhaiyon K Na Hone Ka Gam Satane Laga. Baap Ka Karm Kand Karne K Baad Wo Apne Bhaaeyon Ko Dhondne Mai Jut Gya, Magar Kisi Ka Koi Ata Pata Nahi Mila. Kaafi Koshish K Baad Bhola Ne Haar Maan Li. Din Phir Se Normal Ho Gyae. Bhola Roz Ki Hi Tarha Subha Utha Nahaya-Dhoya Aur Khane Ka Diba Le Kr Kamo Se Vidaee Le Kr Kaam Pr Chala Aaya. Jb Dopehar Hone Ko Aayee Toh Bhola Ne Haath Dho Kr Khane Ka Diba Khola. Jaise Hi Usne Apna Haath Dibey Main Dala, Uske Haath Pr Kitni-Sari Cheenteeyan Chad Gyee. Usne Jaldi Se Apne Haath Se Un Cheentiyon Ko Jhaad Dala, Kuch Der Vo Chup Chaap Un Cheentiyon Idhr Udhar Bhatkte Dekhta Raha. Phir Achanak Pata Nahi Use Kya Hua K Wo Khane K Dibe Ko Bnad Kr K Foran Ghar Ki Tarf Lapka.Ghar Aa Kr Wo Seedha Rasoee Main Gya Aur Wahan Ja Kr Roti K Dibey Ko Theek Usi Jga Rakh Diya Jahan Se Subha Uthaya Tha. Wahan Ab Bhi Kuch Cheentiyan Gasht Laga Rahi Thi, Maano Apne Saathiyon Ko Dhund Rahi Hon. Bhola Ki Aankhen Bhar Aaye Aur Usne Diba Khol Diya. Dibey Main Se Cheenteeyan Dheerey Dheeray Bahar Nikalne Lagi. Dekhtey Hi Dekhtey Sb Gaayb Ho Gayee. Bhola Ki Aankhon Se Jal Dhara Rukne Ka Naam Hi Na Le Rahi Thi. Vo Buri Tarha Subak Raha Tha. Apno Se Bichadney Ki Tees Us K Bardasht Se Bahr Thi. Bhola Ko Rote Dekh Kamo Bhi Uske Gale Lag Bina Kuch Kahe Sune Roye Ja Rahi Thi.
T E E S
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
माना की ये ज़िन्दगी कभी रूकती नहीं है
ReplyDeleteइक टीस भी आँखों से अक्सर ही बहती है
चलना निरंतर, पहुंचना फिर भी कहीं नहीं
धुरी पर घूमती धरा भी तो यही कहती है
(रेनू)
it is not freak thought, it is great thought.
ReplyDeletekhayaal kmaal da hai, peshkari v theek hai, language thodi hor improve ho sakdi , thodi sambavna hai mere khayaal nal.jis time tusi kise nal gl kr rahe hunde ho or us vakt jis andaz vich tusi bol rahe hunde ho j tusi us andaz vich he likho tan shayd (pooori tarah) jyaada kamal da hovega.it is my thought.
mm
ReplyDeleteidea is good,but why are u using mixture of 2-3 languages ? i think u r overshadowed by urdu,thats why.......u r not master of urdu language.be natural like nature as deep nirmohi said above.be crystallised..and grow....u know crystalls take enomorus time to built..and once its made..u cant add or subtract from it.ur vision is like a good artist,so take seriouslly if u want to write.ur idea is good....,but fusion of two lauguages.......accoding to me...not a great idea...dont be like satinder satti..or like gole-gappe wala......who makes chaat.be like a crystall ,solid and shine-blessings-dilbag singh.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteਯਾਰ ਏਨੀ ਉਕਾਤ ਨਹੀਂ ਰੱਖਦੇ ਕਿ ਤੁਹਡੇ ਵਰਗੇ ਫ਼ਨਕਾਰਾਂ ਨੂੰ ਕੋਈ ਸਲਾਹ ਦੇਣ ਸਕਣ ਪਰ ਔਕਾਤ ਤੋਂ ਬਾਹਰ ਜਾ ਜੇ ਕਹਿੰਦਾ ਹਾਂ ...ਗੁਰਮੁਖੀ 'ਚ ਲਿਖੋ ਜੋ ਮਦਦ ਚਾਹੀਦੀ ਏ ਦੱਸੋ ਨੰਬਰ ਤੁਹਾਡੇ ਕੋਲ ਹੈ ਗਾ ...ਮੇਲ ਅਈਡੀ ਦਰਜ ਹੈ। ਮਦਦ ਤੋਂ ਮੇਰਾ ਭਾਵ ਕਿ ਜੇ ਗੁਰਮੁਖੀ ਲਿਖਣ ਵਾਲੇ ਟੂਲ ਚਾਹੀਦੇ ਨੇ ਤਾਂ ਉਹ ਅਸੀਂ ਦੇਵਾਂਗੇ ਪਰ ਤੁਸੀਂ ਅਪਣੇ ਖਿਆਲ ਗੁਰਮੁਖੀ 'ਚ ਲਿਖੋਗੇ ਤੇ ਅਸੀਂ ਵੀ ਪੜਨ ਯੋਗ ਹੋ ਜਾਵਾਂਗੇ
ReplyDeletekabootarchithi@gmail.com
ਧੰਨਵਾਦ
gudd job.....hor kujh nai keh sakda...
ReplyDelete