Aashianey Ki Baat Kartey Ho,
Dil Jalaney Ki Baat Kartey Ho,
Saari Duniya K Ranj-o-Gham De K,
Muskuraney Ki Baat Kartey Ho,
Zikr Mera Chida To Chid K Kaha,
Kis Deewaney Ki Baat Kartey Ho,
Mujhe Apni Khabar Nahi Yaaro,
Tum Zamaney Ki Baat Kartey Ho....
(Source: someone close to me)
D E E W A N A
N I Y A T I
Agar AbhimanU ChakrVieU Tak Nahi Bhi Aata,
To Bhi Niyati Wohi Rehti,
Kyonki Tab ChakrVieU Khud AbhimanU Tak Chala Aata,
PariNaam Wahi Rehta Bas Arth Badal Jaata...
H A S T I
Ik Boond Paida Kar Gayee,
Ik Fer Mainu Har Gayee,
Mai Bulbuley Di Ki Kahani,
Mailay Paaniyan Ch Had Gayee,
Ik Boond Paida Kar Gayee,
Ik Fer Mainu Har Gayee...
M O D
Janey Kyo Vo Gana Yaad Aa Raha Hai, Thodi Si Bewafai Film Ka – ‘Jaha Se Tum Mod Mud Chuke Ho, Wo Mod Ab Bhi Wahin Khadey Hain’.
Mod Jo Peechey Chut Gya Shayad Tha Hi Isi Liye K Kahin Se Zindgi Ko Nai Disha Milni Chaheeye. Abhi Mod Aur Aayengay Kuch Teekhey, Kuch Taedhey, Kuch Gol Aur Kuch Seedhey Sapaat.
Vaisey Har Mod Raftaar Ko Kuch To Dheema Karta He Hai, Aur Ek Baat Vo Ye K Har Mod Humeyn Ye Ehsaas Bhi Deta Hai K Zindgi Abhi Thami Nahin Hai; Chal Rahi Hai.
Wastav Mai Jeewan Kab Kahan Kaise Kon Sa Mod Le Le Ye Rehasye Hamesha Bana Rehta Hai, Phir Bhi Mod K Is Rehasye K Baawajood Hum Raftaar Badhaaney Ko Hamesha Taeeyaar Rehtey Hain. Apni Manzil Tak Pahunchney Ki Jaldi Kisey Nahin Hoti. Raasta Vahi Rehta Hai, Badalti Jati Hain To Bas Dishayeen Ya Phir Raasta Taey Karney Ka Hamara Zareeya.
Kabhi Kabhi Raastey Mai Humeyn Kisi Khas Mod Se Ek Gehra Lagaav Ya Mohabat Ho Jaati Hai (Mujhe To Aksar Ho Hi Jati Hai) Hum Us Mod K Manzar Main Itna Doob Jatey Hain K Humey Ye Khayaal Hi Nahi Rehta K Kab Humney Raftaar Ko Koso Peechey Chod Diya Ya Phir Kab Raftaar Ne Humey Koso Peechey Chod Diya.
Aisey Waqt Mai Sirf Do Hi Anjaam Hotey Hai; Pehla Accident Yani Hadsaa Aur Doosra Ye K Manzil Aankhon Se Onjhal Ho Jati Hai.
Achanak Lagta Hai K Zindagi Ki Gaadi Ko Kisi Ney Zor Se De Mara Ho. Sab Kuch Thm Gya Sa Lagta Hai.
Phir Sirf Hum Reh Jatey Hai Aur Humari Tanhaaee. Tab Soch Ek Aur Mod Leti Hai. Wo Sochti Hai K Dar-Haqeekat Wo Haadsa Bhi To Apney Aap Mai Ek Mod Hi To Tha, Jaha Raasta Wahi Raha, Manzar Wahi Raha; Badli Hai To Bas Mazil Ki Justajoo.
Tab Dheerey Dheerey Ye Samjh Aaata Hai
K Bachey Ab
Hum Mod Nahi Mud Rahey,
Mod Humey Mod Raha Hai.
A A H
Us Darwazey K Peechey,
Jaha Mere Khabon Ka Jahan Aabad Hai,
Barson Pehley Bhi Ik Aahat Aayee Thi,
Ab Phir Aahat Aayee Hai,
Tab Bhi Gehree Khaaee Thi,
Ab Bhi Gehree Khaaee Hai...
Ek Gehree Gehree Khaaee Hai,
Us Darwazey Aur Mere Beech,
Ye Kaisee Gehree Khaaee Hai..?
Barson Pehley,
Ha Ha Theek Aisi Hi,
Tab Bhi Aahat Aayee Thee,
Ab Phir Aahat Aayee Hai,
Tab Bhi Gehree Khaaee Thi,
Ab Bhi . . !
Subscribe to:
Posts (Atom)